Kehnay Ko Muhabbat hai lakin
Ab esi muhabbat kia kerni…
Jo neend chura le ankhon se
Jo khawab dikha k pholon k
Tabeer main kantay de jai
Jo gham ke kali raaton se
Her aas ka jugnu le jai
Jo khawab sajati ankhon ko
Aansu he aansu de jai
Jo mushkil ker de jeenay ko
Jo marnay ko asaan keray
Woh dil jo Pyar ka mandir ho
Wo yadoon ko mehman kare
Ab Aisi Muhabbat kaya karni…
Jo umer ki naqdi le jaey
Aur phir bhi jholi khali ho
Woh soorat DIL ka rog Bana
Jo soorat dekhi bhaali ho
Jo Qais bana de Insan ko
Jo Ranjha Aur Farhad karay
Ab Aisi Muhabbat kya karni..?
Jo khushiyon ko Barbad kare
Dekho to Muhabbat k Baray
Har shakhs yahi kuch kehta hai
Socho to Muhabbat k Ander
Ik Dard humesha rehta hai
Phir Bhi Jo cheez MUHABBAT hai
Kab In baaton se Darti hai
Kab in k baandhay rukti hai
Jis DIL main iss ko Basna ho
Yeh Chupkay say Bas jati hai
AB AISI MUHABBAT KIA KARNI…???
VN:F [1.9.22_1171]
Rating: 5.0/10 (2 votes cast)
Other Most Popular SMS
- Aey Allah Is Se Pehle K Yeh Du68,558 views
- - -BuJh Gayab67,320 views
- Who Are PATHANS ? 1 G65,338 views
- Sardar: doctor sahib ye62,932 views
- Amazin Lines Of Attitude br58,143 views
- Wife: Ik bat bolon? Husb48,077 views
- Biwi ko Thaper Mar k Shohr Bol43,421 views
- Husbnd 1st night:Tum ne kbhi41,696 views
- 1 Bheegi hui si raat mily38,317 views
- Kisi ko kisi se Muhabbat34,150 views
Read more
Sad Sms